The power of telepathy,क्या है जानिये with scientific reason!

The power of telepathy,क्या है जानिये!

                         Hi dosto me hu factlook aur aaj bhi me apko humesha ki tarah kuchh interesting  baat batane ja raha hu. Aaj ka ye article humare mind se produce hone wale vibration  par hai. So socho agar hum dusro ki mann ki baat jaan paaye to? Dusre ke mann me apne vichar transplant  kar sake to? 1000km dur rehke bhi bina bole baat kar sake to?? Hai naa ye interesting? Kyuki ye real such hai!  Abhi aap me se kuchh sochte honge ki kya yaar kuchh bhi bol rahe ho to friends ye baate scientifically  proved hai. Hum bina bole dusro ki mann ki baat jaan sakte hai,bina bole dusro ke mann me apne shabd daal sakte hai aur dur baithe hi bina bole hum baat bhi kar sakte hai etc. Aur iss theory ko science telepathy ke name se janta hai.

                           Iss telepahy ko hum sub ne directly  ya indirectly  experience kiya hai humari roj ki life me. par example  dene se pehle me apko ye bata deta hu ki telepahy kaise kaam karti hai.
               Me apko hur wakt batata rehta hu ki subconscious mind ko hasil kar liya yaani life zingalala. To dosto telepathy  bhi subconscious  mind ke dwara sambhav hai. Apko mene bataya tha ki subconscious mind me collective  subconscious  mind ata hai. To dosto telepathy  collective  subconscious  mind ke through  kam karti hai. Actually agar hum scientifically  telepathy  ke bareme soche to hota ye hai ki jab koi vyakti/people sochta hai to uska mind ek vibration create karta hai aur agar humara subconscious  mind attend state me hai to hum uss vibaration ko jaan kar uske mann me kya chal raha hai iska sattik andaaja laga sakte hai. Aur dosto abhi mene jo telepahy ki working batai wo such hai .kyuki ye scientifically  proved hai. Agar hum telepathy  ko experience  se janna chahe to  simple example me apko deta hu. Dosto kabhi apko ye experience hua hai kisike saath baat karte wakt humare samne wala/wali wo baat bol dete hai jo hum bolna chahte hai,kabhi aap kuch soch rahe ho aur samne wale vyakti wo bol dete ho jo aap soch rahe ho etc etc. Aise bahut se Telepathy ke experience  hum karte hai par hume directly  nahi pata hota.ki hum telepathy se jaan lete hai.

                    Actually  dosto ye puri dunia agar hum bole to vibration se bani hai ye baat great scientist nikola tesla, aryabhatt jaiso ne bhi batai thi. Isike chalte agar hum kuchh extra ordinary mind power use karte hai to unn sab vibrations ko hum pehchan sakte hai. Aur uske liye hume hamara subconscious  mind develop  karna padega kyuki ye sab usike powers hai.
               Dosto agar  article achha laga ho to isse share karna na bhule koi daut ya suggestions ke liye comment  karte aur aisehi secrets janne ke liye muze yaani factlook ko jarur subscribe kare. 

Post a Comment

Previous Post Next Post