Top 10 insurance companies in india कौन कौनसी है?
Hi friends me hu factlook or swagat hai apka mere iss website par. So dosto hum sabko pata hai ki insurance policy jaisi facility humare life ke liye kitni jada important hai.aur insurance karwane ke liye india me aisi bahut si companies hai jiski wajahse hume sahi insurance company choose karna bahut hi mushkil jata hai. to aaj hum aisehi kuchh insurance companies ke bareme baat karenge jo hume insurance ke bareme achha profit deti hai. Wo chahe car insurance ho,home insurance ,life insurance,health insurance ya koi bhi aise insurance jisse aap karwana chahte ho.
/List Of top 10 insurance companies in india/
1)LIC
2)ICICI Lombard General Insurance
3)SBI
4)Birla Sun Life Insurance
5)Oriental Insurance
6)HDFC Standard Life Insurance
7)Bajaj Allianz General Insurance
8)New India Assurance
9)Tata AIG General Insurance
10)ICICI Prudential Life Insurance
1)LIC
LIC ka hum agar full form me kare to "Life Insurance Corporation" hai. Ye india ki sabse best insurance company hai yani puri tarah se government ki facility se bharkar. LIC me lag bhag 13 million policyholder aur 10 lakh agents hai. LIC ke anek subsidiary hai unmese kuchh niche diye gaye hai-
1) LICHFL Care Homes
2) Life Insurance Corporation of India. International
3)LIC Lanka
4) LIC Nepal
5) LIC Housing Finance
To agar aap insurance karvana chahte hai to LIC se hi insurance karvaye kyuki yahi sabse best indian insurance company hai.
2)ICICI Lombard General Insurance-
ICICI Lombard general insurance ye company india ki sabse badi private insurance company hai. Ye company generally karyakshetra ke liye kam karti hai for example. Investment management, general insurance, reinsurance and insurance claim management.
ICICI lombared company sirf thodehi time me top credit par pahuchi hai. Ye company pahili digital base par tayyar hui hai jiske wajahse hume kahisebhi internet ki madat se insurance bharneme dikkat nahi aa rahi hai. ICICI Lombard ne apne best functioning aur quantity ki wajahse bahut se award mile hai.
3)SBI -
India me sabse jada bharosemand bank SBI(state bank of india) hai. Pehle yeh bank private thi parantu government ne iss bank ko kharid liya tabse yeh bank gov. Ki hai.
SBI bank loan, insurance provide karti hai such as SBI life insurance, home insurance, car insurance etc. Wo bhi achhi facility ke sath.iss bank ka india me bahut bada network hai kyuki yeh bank india ke har corner me mojud hai. So iske chalte har admi SBI se insurance karwana Chahta hai. Bade network,smart working, best support, achhe employee's ke wajahse india ka har admi SBI par bharosa karta hai.
4) Birla Sun Life Insurance-
Birla sun life insurance company also india ke top five insurance company me se ek hai. Ye india ki pahili free look facility, life insurance plan ,business plans etc. Me finance provide karne wali Private company hai. Ye company india ke devlopment and growth ke liye always ready rahi hai.
Birla sun life insurance company ke achhe help support, passion,ache wachan(commitment) ki wajah se log iss company par bharosa karte hai.
5) Oriental Insurance-
Oriental insurance company international insurance company hai. Ye company dubai, nepal, kuwait jaise country me bhi establish ki gayi hai. India me iss company ke kam se kam 900 operating offices hai aur 26 zonal offices hai.
Oriental insurance company ka rank pure International agency me B++ rank hai. Isse ye sabit hota hai ki oriental insurance company bhi India ke top insurance company list me aati hai.
6)HDFC Standard Life Insurance-
HDFC standard life insurance company india ki top private insurance company me aati hai. Ye company abhi sirf HDFC life ke ke name se jani jati hai. Iss company ke 750 se jada town and cities aur 651 se jada branches hai. Iske employees 3 lakh ke aspas hai aur ye company customero ke health,saving investment,pension jaise requirements par achhi tarah se insurance deti hai.
Ye company achhi finance faculty aur carely jada samay ke liye investment karti hai wo bhi safety precaution se. Also ye company groups aur individual bhi deal karti hai.
7)Bajaj Allianz General Insurance-
Bajaj allianz general insurance company ke branches international market me kam karte hai. Ye company bhi private hai aur ye company 2 company ke combination se bani hai. Allianz company ,jo ki pure world me best insure karne wali company hai aur Bajaj company, jo ki top motorcycle banane wali company hai aur isike chalte dono company ne milkar bajaj allianz general insurance company banayi hai.
Bajaj allianz company ka network top list me ata hai aur iske india me 200 above offices hai. Ye company health, auto, commercial, travel, homes par insure karti hai.
8)New India Assurance
Ye company indian government ki hai. Iss Company ke india me 1068 automated offices hai iske bajay india ke bahar bhi iss company ke offices hai such as UK, japan, Australia etc. Ye company best working,best support, helpfull karne wali company hai jiski wajahse iss company ki market me strong position hai.
Ye company industrial ,satellite insurance pradan karti hai. Ye company india ke best insurance company me mode leti hai.
9)Tata AIG General Insurance-
TATA AIG private insurance company hai. Aur iss company kam se kam samay me bahut bade platform par aa gayi hai hai jiske chalte top insurance company me iska name dala gaya hai. TATA AIG insurance company ke kam samay me jada tarakki karne ke pichhe ka karan iske karmchari hai. Iss company ke karmchari honestly,galati me invisibility ,smart help support ke wajahse ye company famous hai. Pichhle kuchh wakt me iss company ne top 5 company ka award jita tha.
TATA AIG company generally general insurance sector of india ke name se jani jati hai. Iske servey strong hote hai also consultant bhi best karti hai ye company. Iss company ke kuchh achhe benifits hai such as brand image, performance evaluation, work and life me achha proper balance rakhti hai, HR inactivities ye iss company ke achhe benifits hai.
10)ICICI Prudential Life Insurance-
ICICI prudential life insurance ye sabse biggest(badi) life insurance company hai. Iss company me pichle kuch wakt national financial strength rating fitch se receive kiya tha.iss insurance company ki growth hone ki speed baki sabse jada hai. Iss company Ka trusted private life insure ka vote sabse jada tha.
Iss company ka network bahut strong hai iski 2000+ branches hai,1177 micro offices hai aur 2,50,000 + se jada advisor hai.
So mene apko india ki Top 10 insurance company bata di to agar apko insurance karwana ho to inme se koi ek par truest karne karne.
Agar ye article apko pasand aye to share karna, kuchh puchhna ho suggest karna ho iss article ke bareme to niche comment kare aur humare sath jude rehne ke liye site ko subscribe kare.
Tags:
Insurance
Nice and interesting information and informative too. Can you please let me know the good attraction places we can visit: General Insurance Companies In India
ReplyDeleteThanks for sharing the blog, seems to be interesting and informative too. Can you suggest some of the interesting places to visit for General Insurance Company
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDelete
ReplyDeleteThanks a lot for sharing your knowledge and providing me with a much-needed insight into the world of finance.
General Insurance Companies In India
The great blog about health insurance.Thanks for sharing the blog, seems to be interesting and informative too.Could you help me to find more detail about Best Insurance Company In India
ReplyDelete