The Omnipotence Paradox!सर्वशक्ति विरोधाभास।

          The omnipotence  paradox(hindi)

                  

                    Hi dosto, roj ke tarah aaj bhi me apke liye kuchh facts leke aya hu ummid hai apko iss naye topic ke bareme achha lage ager ye topic aap pehli baar jaan rahe hai to. To aaj ka article paradox ke uper hai dosto jisse hindi me virodhabhas bolte hai. Iska matlab ye ki ager two statements  liye jaye jo ek dusre se judker hai per dono statement ek dusre ko Zoot sabit karte hai to usse hum paradox kehte hai! To dosto me hu factlook aur aaj hum paradox ka ek type jisse omnipotence paradox kehte hai uske bareme janenge. 

                      The omnipotence paradox sarvashaktimaan  ke upper banaya gaya hai dosto. Jaisa ki aap jante hai ki sarvashaktimaan/ Omnipotence ka matlab hai ki wo jo sabse shaktimaan hai aur wo kuchh bhi kar sakta hai. To dosto isike upper ek paradox janam leta hai jisse hum omnipotence  paradox ke name se jante hai.  For! example ke liye hum yaha paradox of stone/patthar or god/bhagwan ko lenge. bus assume kar lo ki bhagwhan hai aur hum mante hai ki bhagwhan sabse shaktimaan hai iska matlab ye ki wo kuchh bhi kar sakte hai to, hum unhe kahenge ki aisa stone/ patther banao jo koi nahi utha sake khud bhagwhan bhi nahi.aur maan lo bhagwhan ne waisa patther bana diya kyuki wo omnipotence hai aur fir humene wahi patther bhagwhan ko uthane ko bole to yaha paradox apply hota hai. To socho ager bhagwhan ne wo patther uthaliya to bhagwhan omnipotence /sarvashaktimaan nahi kyuki wo aisa patther nahi bana sakte jo sabse bhari ho aur usse koi nahi utha sakta khud bhagwhan bhi nahi aur socho ager bhagwhan wo patther nahi utha sake fir bhi bhagwhan omnipotence /sarvashaktimaan nahi kyuki ager wo kuchh bhi kar sakte hai to wo patther kyu nahi utha sakte jo unhone khud banaya hai. To dosto yaha two statements  hai jo ek dusre se judker hai per dono statement ek dusre ko wrong sabit kar rahe hai to isiliye yaha paradox create hota hai aur isiko hum paradox of stone/ the omnipotence  paradox kehte hai. 

                   Omnipotence paradox tabh charcha me aya jab 12th (1126-1198)century me avedroes ne announce kiya thaa aur baad me thomas aquinas ne. Omnipotence  paradox ko bahut se logone sulzane ki koshish ki aur ye paradox kuchh hud tak sulaz bhi jata tha per hur ek koshish me aur nayi pereshani/condition aa jati thi jo firse iss paradox ko sulzane nahi deti thi. For example god ne sabse heavy stone bana diya jo wo khud bhi nahi utha sakte yaha pahila statement pura ho gaya aur dusre statement ke chalte god ne ager wo heavy patther earth per banaya hai to earth ki gravitational force ko kam karke stone ko utha liya to yaha dono statements nearly prove ho jate hai.per  Ager alternativly dusre omnipotence  ke example ki baat kare to bhagwhan ager sarvashaktimaan/ omnipotence  hai to aisa jail banaye jisme se wo khud bhi nahi nikal sakte socho ager bhagwhan ne aisa jail bana bhi diya aur wo uss jail me chale gaye aur hum god ko bole ki aap ager sarvashaktimaan hai to uss jail se nikal ke dikhaye to yaha omnipotence paradox create hota hai. Kyuki ager god jail se nikal gaye to god aisa jail nahi bana sakte jisme se koi nahi nikal sakta khud god bhi nahi yani god omnipotence  nahi hai aur iske opposite god ager jail se nahi nikal paate to bhi god omnipotence nahi kyuki ager god kuchh bhi kar sakte hai to jail se kyu nahi nikal sakte jo unhone khud banaya hai. To iss example me bhi dosto ek dusre ko virodh karne wale statements hai to yaha bhi omnipotence paradox banta hai.(tip: God Bhagwan ko aap mante ho ya nahi ye me nahi janta per yaha bas example ke liye mene god ko liya kyuki omnipotence unhehi mana gaya hai so.) Aisehi bahut se example hai omnipotence  paradox ke jo iss paradox  theory ko sulazne nahi dete. 

                  Dosto ager apko yeh article achha laga ho to please share kare aur suzaw ya suggestions ke liye comment kare aur aisehi article read karne ke liye muze yaani factlook ko subscribe/Follow  kare! Thank you! 


  

1 Comments

Previous Post Next Post