Black Hole kya hai?kya black hole earth ko khatam kar sakta hai? जानिये!

     Black Hole kya hai?kya black hole earth ko khatam kar sakta hai? जानिये!
 
              Hum sabke dimakh me ek question ata hai ki earth ka end kaise hoga.iss subject par bahut logone apni apni rai di hai ki earth ko black hole nigal jayega, earth suraj ke bahut pass chali jayegi, jwalamukhi/volcano niklega, koi aur planet earth se takrayega, Aliens hume khatam kar denge etc, etc. Aise bahut ssi kalpanaye hai earth ki end hone ki.such to ye hai ki earth ka vinash nishchit hai par wo kaise hoga ye kisiko nahi pata. Par yaha jo me aaj ka topic consider karne jaa raha hu wo black hole ka hai. Actually log bolte hai ki earth ko black hole nigal jayega. Par ye kaise sambhav hai ye me apko iss article ke dwara bataunga. So me hu factlook aur aaj hum janenge black hole ke bareme.

              Actually black hole ka matlab hai kala hole. Par black hole purahi hole nahi hai kyuki wo hole nahi hai manno jaise black hole bhi ek planet ki hi tarah hai. Par uski sabse strong gravitational force jiske through light bhi travel nahi kar sakti issliye usme humesha black/andhera rehta hai jiske chalte usse black hole kaha jata hai. Actually black hole ek aisa rakshas hai jo khatam hone tak apne samne aane wali hur chij ko nigaltahi jata hai.iska matlab ye ki agar black hole earth ke pass aa jaye to wo earth ko nigal lega yani apni taraf khich Lega kyuki uska gravitational force bahut jada hota hai.
               Dosto me kabse black hole black hole bata raha hu par ye nahi bataya ki black hole kaise bante hai so lets, explain.. Actually dosto black hole planet se bante hai ya taro se yani antariksh me jo bhi taare hai jo apni khud energy produce karte hai unka black hole banta hai. Dosto taaro ke bareme aisa hai ki unme hydrogen atoms hote hai aur hydrogen atom ek dusre se react hoke helium me convert hote hai[H + H ---->2H) jisme bahut energy form hoti hai jiski wajahse tare chamakte hai. Par ye energy form honeki limit iron ke atoms tak hi simit hai kyuki iron + iron(fe + fe ----> 2fe) energy nahi form hoti jiski wajahse wo tara contract  ho jata hai. Aur jaise jaise koi bhi chij contract hoti hai to uski density budne lagti hai isike chalte jab tara bhi contraction me ata hai to uski bhi density bahut bud jati hai jiske chalte Uska gravitational  for bahut jada high ho jata hai aur uss gravitational  force me se light bhi pass nahi ho sakti to wo black hole kehlata hai. Agar hum example le to hum agar earth ko ek matar ke dane jitna kar de to earth ek black hole kehlayegi jisme se light jaise sabse kam mass/ weight wali chij bhi uski gravity se bach nahi sakti.

          Sawal ye hai dosto ki kya black hole earth ko nigal sakta hai? Hha ye bilkul such hai.par darne ki baat nahi hai dosto kyuki earth ke sabse kam duri par jo black hole hai wo 27,000 light/year dur hai yaani agar black hole light ki speed se bhi earth ke pass aye tabhi bhi usse earth tak pahuchne ke liye 27,000  year lagenge iska matlabh ye ki jab tak wo black hole earth ke pass ayega tabh tak hum to Kya ye earth bhi nahi rahegi.so black hole se hume darne ki jarurat nahi hai dosto be relax.and enjoy your life!
             To dosto kaisa laga article achha lage to share jarur karna, kuchh update karwana ho iss article me to comment karna aur aisehi interesting baate janne ke liye hume subscribe karna na bhulna. 

Post a Comment

Previous Post Next Post