Know more about time travel! क्या ये possible है?जानिये!

Know more about time travel! क्या ये possible है?जानिये!

            Hi dosto ek baar fir se swagat hai apka humare iss blog par.me hu factlook aur aaj hum janenge ki time travel scientifically  proof hai ya nahi!!
               To dosto sabse pehle hum janenge ki time travel kya hai? Actually time travel ki simple meaning hai time ke bandhan se azhad ho jana. Yani agar hum chahe to 21st century se 25th century ya 18th century me ya kisi time me aap aa jaa sakte hai. Time travelling par bude bude experiments kiye gaye wo bhi Einstein,stephen hawking jaise bude scientists dwara aur iske result me ye aya ki time travel posible hai par abhike kam instruments aur kam facility ki wajahse abhi shayad hi time travel possible hai.unke dwara banai gayi theory se agar hum light ki speed se earth ke around rotate kare to hum time travel kar sakte hai kyuki jo chij fast speed se chalti hai uske liye time slow aur jo chij low speed me hai uske liye time fast hota hai. Dosto aaj ke jamane me time travelling sirt theoretical aur mathematically proved hai par real life me iska experiment abhi tak nahi kiya gaya.

              Per aise bahut se cases ho chuke hai dunia me ki jo time travel ki or ishara karte hai kyuki time traveling ko bahut logone experience  kiya hai.to sochneki baat ye hai ki jabh abhi tak aisa koi instrument  nahi bana jo time travel karva sake to unn logone kaise time travel ko experience  kiya to dosto aisa bhi  ho sakta hai ki time travel karneke darwaje/hole hote honge jo kuchh time ke liye khulte aur band hote honge! Hh dosto jadatar scientists bhi yahi mante hai ki time ke darwaje hote hai jisse hum time travel karke kahibhi jaa sakte hai. Iska agar hum example de to kya kabhi apke saath aisa hua hai ki kahi aap jindagi me pehli baar ghumne gaye ho kisi jusri jaga per waha jatehi apko lagta hai ki me pehle bhi yaha aa chuka/ chuki hu. Muze comment ke jariye ye baat jarur batana iss experience ke bareme dosto kyuki mere sath aisa bahut baar hua hai ki kahi unknow jaga jake muze laga ki me Yaha pehle bhi aa chuka hu. To aisehi kuchh raaj hote hai dosto jo time travel ke bhi ho sakte hai per hume pata nahi chalta.
              Sochne ki baat ye hai ki abhi to time travel karne ke instruments  nahi banaye jaa sakte hai per kya future me ye time traveling  ke instruments  banana possible hai? Agar future me ye possible hai to humara future humare iss 21st century me kyu nahi aa raha time travel karke? I think dosto time travel karne ke instruments  banana future me bhi shayad hi possible hoga warna humara future jarur aata hume dekhne. Ya fir time traveling instruments banane se pehlehi iss Dunia se humara chapter close ho gaya hai. So iss wakt jo available hai time travel karne ke darwaje/holes bus wahi hai aur wo bhi time ke chalte open close hote rehte hai. Time travel instruments  banane achha agar hum time hole dhundne per focus kare to shayad jald hi hume time darwaje mil jayenge.

                Kuch log aur scientists aisebhi hai jo time travel ko nahi mante uska reason hai law of paradox, paradox theory ye kehti hai ki agar hum time travel karke apne atith/past me jaye aur hum apne dadaji ko unki shadi hone se pehle hi maar de to socho hum kaise iss dunia me aa sakte hai. Issi theory ke chalte time travel naya mode start karti hai aur ye Theory  batati hai ki time travel future ke liye possbile hai per past ke liye nahi.aur ek baat time travel future aur past me agar kiya ja sakta hai to uske liye parallel universe ki Theory  ko exist karwani hogi kyuki ager hume time travel parallel  universe ke chalte kare to law of paradox parallel universe time travel me exist nahi kar Sakta kyuki agar hum parallel universe me apne atith/past me jake apne dada ki shadi hone se pehle hi maar diya to iska parinam humare iss universe  me nahi hoga. Yanni hum suchme iss dunia me rehenge.
                  yani time travel possible hokebhi impossible ke baraber  hai. Agar ye article pasand aye to please share karna koi shikayat ya kuchh puchna ho to comment ke jariye batana aur ho sake to iss site ko subscribe kar lena kyuki me aisehi fact iss site per share karta hu.
               

Post a Comment

Previous Post Next Post