Chemical ki khubsurti?क्या है बुरा और अच्छा आपके लिये!

Chemical ki khubsurti

       Hi friends me hu factlook aur pehle me apka swagat karta hu meri site par anne ke liye. So dosto aaj ka topic hai khubsurti ke uppar. jo har koi pane ke liye betab hai. Har koi chahta/chahti hai ki me bhi khubsurat banu.me bhi achha/achhi dikhu.par har koi ke bus me kaha jo chahe waisa face hume mil jaye.

         Iss dunia me khubsurat dikhne wale log aam logo se bahut hi kam paye jate hai.par fir bhi koi bhi yani aam log ya khubsurat log kabhi bhi apni khubsurati pane ka lalach nahi chhodte.aam log to jada tar thik hai agar wo khubsurti pana chahe to par unn logo ka kya jo pehlese hi khubsurat hai fir bhi khubsurti lalach lagake baithte hai? Actually  such baat to ye hai ki experiment ke douran ye paya gaya ki aam logo se jada jo pehlese hi khubsurat hai unme aur khubsurat banne ki chahat aam logo se jada payi gayi.ek baat to tai hai ki lalach buri bala hai. isike chalte hum sab roj khubsurat banne ki chahat se itne saare chemical chijo ka upyog karte hai ki humari skin bhi unhi chemicalo ka ek part ban kar reh jati hai. Hume pata hai ki skin ke liye chemical achha nahi hota par fir bhi humara mann nahi manta unn chemicalo ko dur rakhne ke liye kyuki humari lalach kabhi jati nahi khubsurat banne ki.
                Aap logone to kahi suna/dekhahi hoga ki chemical ke side effect se bahut log apne skin disease se apni khubsurati gawa dete hai.To thoda socho agar chemical itna nuksaan agar humara kar sakta hai to unnke creams, conditioners etc. hum use kyu karte hai?

             To dosto isiliye mera yaha suggestion aur request yahi hai ki kuchh bhi agar aap apni khubsurati badane ke liye upay kare to jadibuti ke jariye hi iska prayog kare kyuki jadibuti chemical chijo se thoda jada  der se result dikhata hai par achha result lata hai aur uska side effect bhi nahi hota. So jitna ho sake utna chemical se dur rahe. jada chemical use karke apni achhi skin nna gawaye aur ayurvedic chije laga kar apni khubsurti badhaye.

Post a Comment

Previous Post Next Post