DHARAM EK POLITICS ,difference नही है ईनमे.जाने ईसके बारेमे!

DHARAM = POLITICS

        Hi ,friends me hu factlook aaj ke iss article ka author  .so friends aaj mai apko politics or dharam ko jodkar unki aaj ke iss 21vi sadi me hone wali nayi concept/ kalpana ke bareme bataunga .kyuki dharam aur politics ka bahut related sa gehra sambandh iss time ki situation me bhatak rahi hai .

                Hum aur hamare purvaj kahte hai ki ye dunia bhagwan ne banayi hai .par mera question hai ki bhagwan kon hai? Ya fir ye dunia bahut sarre bhagwano ne  banakar apne apne  alag dharm banakar politics khel rahe hai ?.bilkul sahi dosto .ye sab dharm agar aap thik se sochke dekhe to politics aur dharm apko ek jaisa lagega.kyuki jaha bhi jao alag alag dharm ke log zagadne lagte hai aur politics ke netao ki party ke jaise prachar karte hai vaisehi dharm ke bhi prachar hote hai .manta hu dharm hona chahiye par isliye nahi ki dharm ke nam par danga ho .kyuki dharm ka dusra nam sangh/ekta hai . prachin kitabo me dharmo ki discription kuch iss tarah se ki gayi hai ki dharm  logoko miljulke rehne ke liye banaya gaya hai jisse koi bhi log iss dunia me akele pan se azadi milne ke liye banaya hai aur abh dekho iss 21vi sadi me sabhi log dharm ke naam par politics khel rahe hai .
              Agar dharm ka hum dusra matlab le yani bhagwan ne khud agar ye sab dharm banaye hai to sai baba ke tarah aap log bhi yahi kahte honge ki saare dharmo ka malik yani ye dunia  banane wala ek hi par kya aap iss labz ka ammal karte hai?agar saare dharmo ko common  karke dekha jaye to dosto yahi apko iss dunia banane wale ka sach pata chal jayega kyuki agar aap dharm granth padte hai alag alag dharm ka to uss dharm ki bhasha ,samjaane ka dhang,nirmata sab alag alag dikhega apko parantu unn saare dharmo ka laksh ek hi hai ki dunia me shanti failana .or ek baat agar aap dharm granth padte hai to vo granth apko copyright bhi lagne lagenge isse pata chalte hai ki dunia banane wala ek hi tha par logoki soch ne usse aise divide kar diya ki vo bhagwan bhi apne aap ko nahi pehchan payega.

             To dosto hume agar ye dharm ka political view khatam karna hoga .iski badoti aur bhi budd rahi hai jisse danga atanki hamle logo me fut paida ho rahi hai aur najane agge chalke ye system aur konsa naya rup lega.aur uske vajahse ye dunia khatam hone me der nahi hogi kyuki ye dunia nahi jwalamukhi ,tsunami,ya dharti ka blast hoke nahi hoga kyuki iss dunia ka annt hoga logome rakshasi wrutti taiyar hoke .agar log apasme zagadne lage, ek dusre ko marne lage to bina natural apatti ke iss dharti ka annt ho jayega .dosto  kyuki iss dunia ka annt aur bhi ek baar ho chuka hai  aur uss time bhi kuchh aisihi situation thi ki logome insaniyat khatam hoke rakshasi wrutti taiyyar hui thi aur uss wakt to dosto log apne hi anng ko markar khate the iska matlab ye ki log ek dusre ko hi apna bhojan banate the itni kharab situation thi dosto isliye agar hum dunia me shanti fayla  sake to agge logome rakshasi wrutti nahi hogi aur jo bhi abhi hai vo khatam ho jayegi.
           Agar apko ye article pasand aye to share jarur karna joki dusro ki samaj me aye aur humare saath judne ke liye iss site ko subscribe jarur kare kyuki mai aisehi facts iss site par share karta hu.

Post a Comment

Previous Post Next Post