KHUL GAYA HYDRA MONSTER KA RAJ KYA HAI
Me aaj ka ye article hydra namak ek jiv pe likhne ja raha hu . asha karta hu apko ye pasand aye.
So,friend hum sab kisi na kisi dharam se hai or har dharam me shaitan ka jikar kiya jata hai .aaj me apko ek aise shaitan ka raj bataunga jo kabhi khatam nahi hota tha kyu ki vo marta nahi tha or agar mar bhi gaya to apne bhaiyo ke saath fir ussi pal janam leta tha .iss shaitan/ asur ka khulasa me yaha koi ek dharam choose karke bata sakta hu to uske liye me hindu dharam choose karunga .
Actually friend hindu dharam me ek aise rakshas /asur ka jikar kiya gaya hai jo kabhi marta nahi tha or agar usse mar paye to vo ek sri/ ladies hi mar sakti thi uska nam hai Raktasur/rudhirasur .actually iss asur ke bahut nam hai par me yaha raktasur nam hi consider karunga .agar aap hindu hai to apko Raktasur ka raaj pata hi hoga jisse marne ke liye mata parvati ko ma kaali ka roop lena pada tha .
Agar iss asur ko koi marna chahe to to vo ek sri honi chahiye or usse aise marne ke liye sri ko bhi ek aisi condition puri karni padi thi ki uska khoon jamin pe na pade .kyuki agar raktasur ka khoon agar jamin pe pad jata tha to uske har ek khun ki boond se or bahut sare raktasur ban jate the .uske liye adishakti mahakali ne ek aghor ,daravna,ghussel roop liya tha uss roop ka nam hai kaali jisne apne pati mahadev ko bhi nahi chhoda .ma adishakti ke kali roop ke baad raktasur par unka akraman hua par jab bhi ma kaali raktasur ka sir kalam karti thi to usske har ek khoon ke bund se or ek raktasur ban jata tha to baad me mata kaali ne faisla kiya ki uske khoon ko dharti par girne nahi dena hai to matane turant ek katora liya or uska khoon katore me dhar kar uska khoon pina shuru kar diya dhire dhire kaali ne uss rakshas ka ant kar diya .
Abh me apko bataunga uss raktasur ka raaj science aur religious ko jodke .actually dosto raktasur namak rakshas bana tha ek hydra ,planeria namak jiv se kyuki hydra aur planeria me aise gundharm hote hai ki unhke agar hum 500-1000 tukde bhi kar de to unn har ek tukdo se ek pura hydra/ planeria tayar hota hai .actually agar ham scientific karan/reason se pata kare to uss jamane ki situation yani jab raktasur jaise rakshas bhi the uss jamane se hamare jamane ke sath compare kare to uss jamane me unki scientific technics hamare jamane se kai hajar guna develop thi .actually uss jamane me hua aisa tha ki kisi scientist hydra jaise jiv ka experiment karke unki property/ gundharm logo me transfer karne ki khoj puri kar di vo bhi kahi guna badakar unse hota tha ye ki agar unn logo ko kata jaye jinme hydra ki property/ gundharm dala hai to unke har ek cell se or ek naya or pura vahi ban jata tha jiska khun tha.iske vajahse vo admi/prani kabhi khatam nahi hote the jinme hydra ki property dali hui thi .
Agar ham abhi bhi hydra jaise regeration wale jiv par experiment/prayog karte hai to hame unke bareme aur bhi bahut depth me pata chal jayega ki in jivo me apne ekahi cell se apnihi ek aur dusri copy banane banane ka raaj .socho agar ham ye regeneration/copy banane ki property/gunndharm dhund paye hydra se to ham abhi bhi unki property kisibhi jiv me dalkar kabhi nasht na hone wale jiv bana sakte hai.
Hydra ka jikar greek me bhi kiya gaya hai ki ye ek 9 akho wala rakshas hai .or agar uske sar bhi bahut hote the kyuki agar kisine uska 1 sar kata to uss 1 sar ki jagah Par 2 aur naye sar ban jate the.aur bhi uss hydra ka nash Namunkin ki tarah Mushkil ho jata tha.dosto bahut salo pehle ki baat hai kisi scientist ne hydra ki regeration wali property ka raaj jankar wo property chhipkali jaise jiv me daal ke dekha tha uska chhipkali ko fayda ye hua ki agar chhipkali ki punchh toot jaye to kuchh dino baad ek nayi or complete puchh nikal ati hai .aur ye raaj chhipkali abhi bahut achhi tarah se jaan gayi hai agar apko yakin naa ho to dekhna chhipkali ko agar laga ki uski jaan khattre me hai to wo apni puchh apne mooh se kaat deti hai or wo bhag jati hai kyuki usse pata hai ki uski punch baad me fir nayi bankar nikal ayegi.
So dosto muze jo bhi fact pata tha hydra ke raaj ke bareme wo sab maine aaj share karke bata diya agar apko achha laga ho to please comment me and share aur bhi bahut sarre Raj janne ke liye iss site ko subscribe kare.
Tags:
Secrets