Ad blocking se humare adsense ki cpc suchme budti hai ya nahi जानिये आपका जरूर फायदा होगा!

Ad blocking se humare adsense ki cpc suchme budti hai ya nahi जानिये आपका जरूर फायदा होगा!

                    Dosto me hu factlook. Sabse pehle to dil se swagat karta hu me apka iss site par. Dosto me aaj  ka ye article adsense ke cpc per leke aya hu ki adsense suchme cpc badhata hai ya nahi agar aap ad block karke cpc badhana chahte hai to! ye article pura jarur  pade kyuki ye apke liye bahut important hai.

                      Mene youtube aur bahut se blogs par cpc badhaneka  video dekha aur blog  posts pada aur wo trick use bhi karke dekhi par kya aap jante hai iska result kya ayya??  No! Mera cpc badha hi nahi dosto. To Cpc vaisa hi rehta hai dosto jaisa pehle tha. Dosto cpc ka matlabh hai"cost per click " hai na? Yaani ek ad click par kitne paise milte hai iska count. Per aap hi socho dosto kya google adsense jaisa brand apnehi pair per kurhadi marega? Kuchh sites par aur video me ye hai ki jab hum low paying ads ko yani low cpc ads ko apne adsense account  me band kar dete hai to humara cpc bud jata hai kyuki wo low paying ads humare site me anna band ho jati hai . Par dosto aap hi sochiye agar ye trick sachme kam karegi to sabhi log yahi trick apanayege aur  adsense bhi  ager high paying ads sabko de dega to adsense ko kya fayda hoga? dosto agar hum adsense me low paying ads ko block kar dete hai to bhi adsense unn ads ko advertise  karta hai dosto ,kyuki uska kaam hi hai yaar advertise karna. chahe adsense kitne bhi paise kyu na lele ad publisher per se yanni thode ya jada paise kyu na le advertise publisher se ,par advertise  to karna hi padta hai adsense ko. To socho agar low paying ad publisher adsense ko kum paise(low cost) deti hai advertise  karne ke liye to kya adsense uss low Paying ads ko advertise  nahi karegi kya?  Wo jarur ads ko advertise  karega dosto chahe aap ad block kare ya naa kare. Agar aap sochte hai ki ye article bakwas hai to socho jo bude bude bloggers hai harsh agrawal,amit agrawal jaise wo kyu nahi batate ki low paying ads ko block karne se cpc bud jata hai? So please agar aap jada cpc pane ke lalach me hai to ad block na kare adsense apke article dekhke apne aap cpc budha dega. Dosto agar aap ad block kar dete hai apke adsense account me to apke adsense me to defect yahi hoga ki jo ad aa rahi hai wo bhi anna band ho jayegi.

                         Such baat to ye hai ki agar aap high cpc Pana chahte ho to apni site ko thoda aur interesting banao,high traffic drive karo aur sabse best baat site achhe "niche" par site banao like as insurance,education,banks etc. Aur yahi best aur safe method hai dosto adsense cpc badhaneka. To Thoda sochiye dimakh lagaiye aur blogging me achha work kijiye.
                   Kuch suggestions ya dout puchne ke liye muze comment kare i will help you, agar article achha laga ho to share kare aur  iss site se judne ke liye muze yaani factlook ko subscribe kare. 

Post a Comment

Previous Post Next Post